Wednesday, February 25, 2009

Rudra Pooja on Shivratri

Since we were coordinating the dahisar Rudra Pooja we could not make it to Kollam...in my heart I was wishing that we could do a Rudra Pooja at my house....just as I was thinking about this in a few minutes Swami Vishnupad asked us....if we cud have a Rudra Pooja in the house...Vishwasji and I could not stop looking at each other...and felt that Guruji listens to every word of ours.
In the evening we went to rudra pooja in the eve...which was organized by all our Bombay volunteers. Vikramjis melodious satsang had everyone singing and dancing in bliss.

This is an what Guruji said about Shivratri,
Dvaita bhav se bhakti aur bhakti se advaita ke aur jane ka adbhut utsav hai Shivaratri.Shastro me kaha hai ki shivamaya hokar puja kare, shiv ki aradhana kare. Hamare shareer ke kana kana may shiv tatvo ko jagrut karke shiva ki puja karte hai.Shiva bholenath hai, hum bhole bhav se baithate hai puja me.Shiva phul ko aur kato ko bhi swikaar karte hai. Hum bhi apne sadguno ko samarpan kare taaki guno ka ahamkar na lage. Avaguno ko bhi samarpan kar de jiske saath hamne taadaatma bana liya hai.Shivji neelkanth hai. Jahar peeke amrut dene wale hai. Hamare chetna may bhi wo shakti hai jo nakaaraatmak tarango ko badal dene ki kshmata rakhti hai. Saara krodh, vidhvesh, aur ghatak guno ko bhi samarpan kar de. Shiva mangal hi mangal denge.Hamara shareer arbo karbo anu parmanu se bana hai. Ek ek kan spandit aur pulakit ho uthatha hai. Sari prakruti utsav manati hai.Shiva rudra bhi hai. Adharma aur annyaya ke prati krodh bhi jatate hai. Annyaya ko sahana bhi paap hai. Is drushtikoon se dekho to shiva sampoorna hai. Is paramtatva shivatatva ko apne me jaanke apne me maanke, bhole bhav se baithe.Log guruji ki jhalak pane se santusha ho jate hai.Puja ke shurvaat me sankalp me hamare vishal man me hum desh aur kaal ko smaran karte hai. Bhav magna, bhavpoorna vaataavaran me jo sankalp late hai, uski siddhi hoti hi hai.Gita me kaha hai " yagno daan tap paavanani manishinaa" mane aisa saamuhik yagna sampoorna manav jati ke liya vardaan hai.Neelkanth – ananthMritunjaya – jadata mitakar chaitanya ka udaya hota hai, Dukh mitkar santosh ka avirbhav, Ashanti mitkar prasannata cha jati hai…Aksar log mandir jate hai, kaamnaye leke jate hai. Yaha sab aabhar vyakta karne aaye hai. Kisi bhaya ya loobh se nahi aaye hai.Art of living me ye ek khaas baat hai, yaha krutagyatapoorna, gada gada kanth se bhav vibhor hoke loga aaye hai. Pooja poornata se pragat hoti hai. Man prasanna hota hai to pooja sahaj hi ubharti hai.(during namo namo part of rudra pooja) Man apne srtoth ki aur jane lagta hai use namah kahate hai. Tarka, vitarka, janane pahachanane wala man sharanagat hota hai use namah kahate hai. Naman or pranama – jaha man nahi hai.Amruttatva, Gurutatva, Shivtatva tino ka milan hai Shivratri. Tino ek hi hai, aakaashvat vyapt hai. Eshwaro Gururatmeti murti bhed vibhaginevyomavat vyapt dehaaya dakshina murthye namah Sara brahmanda shiv ka sharir hai. Roop mein Aroop ko pujana aur Aroop mein Roop ko poojne ka anokha parva hai "Shiv Ratri". Har roop mein vahi hai aur usi ke andar sabhi samaye hai. Vaidik mantro ke uccharan se jo oorja paida hoti hai, us oorja ke mantra snaan se tan, man aur vatavaran pavitra hota hai. Kuch log apni khamoshi mein bahut kuch keh jate hai. Guruji vaise hi hai. Guruji kam bolte hai aur bolte hai to maan lubha jate hai, aur unki khamoshi mein bahut kuch kar jate hai.
Shiv ko Bhootnath kehte hai. Panch bhooto ke ve malik hai. Sara sansaar panch bhooto ka khel hai : Prithvi, Jal, Vayu, Agni aur Akash. Isiliye isko pra-panch kehte hai. In sab tatvo ka sanmaan karna hi (bhagavan)Bhootnath ki pooja hai. Aaj ki sadi mein log sabse zyada paryavaran ke prati chintit hai. Paryavaran ke prati samvedansheel rehna hamari puritan paddhati hai. Hum laut ke vaidik sanskrutiko dekhe to, prithvi ka sanmaan karte hai: kuch khodne ke pehle pooja karte hai… nadiyo ka, pahadho ka samaan karte hai. Pooja mein paanch tatvo ko leke hi pooja hoti hai. Aarti, Pushp, Jal, Sughandh adi sabka prayog hota hai. In paanch tatvo ka malik hai Shiv aur in Shiv-Tatvo ko jagrut karti hai Shiv Puja. Bahya puja to gaun hai, manasik puja shrestha hai. Guruji Dhyan karate hai to manasik puja ki anubhuti hoti hai.

The mind is still greedy....guruji does rudra pooja.....next day morning.......after shivratri....in my heart I was thinking I am going to miss it........in a few mins coincidentially swamiji also said we should also have rudra pooja in the morning like guruji....so even this wish got fulfilled. A lot of devotees had come and we had an amazing satsang.

No comments: