Friday, March 27, 2009

Theharau

This is a lovely poem written by one of our participants of the 17th-22nd March course. Just wanted to share it with all of you.

Theharau
Manzil bhi hai, raaste bhi hai
Chal bhi diye ghar se…
Hai magar kaisie yeh dagar
Kya kahain socha tha yehi kabhi?
Thi jis mukam ki hasrat
Tha har pal jiska armaan
Chuni thi joh raah aapne
Kya vahhi ho, mazabaan?
Safar mein hi kaahi
Khoo gaye hum kaahi
Puche hai “antar-man” ab,
Kabtak bhatakte firoge vaiyragi?
Zindagi ki is baghati raftar mein
Palak japakte beet rahe in saalo mein
Dundho aapne aapko, aae begaane!
Theharo kaahi, la do ab theharau kaahi…
Bewajaah, bematlab
Ho deewaane ghoom rahe
Aankhen hote huae bhi
Ho paaiso ka kala aeenak taane rahe,
Ooh andhe! Sacchai ki nazar se dekh,
Thehar ja kaahi, la do ab theharau kaahi….
Palatkar dekh toh le
Aapne kaahi piche chut toh nahi gaye?
Saath jo kadam mila rahe thaee
Tha jinhone mushkiloe mein sambhala,
Voh saathi, voh humsafar, voh badae
Rishhto ke putale toh nahi ban gaye????
Ab bhi waqt hai,
Thehar ja kaahi, la de ab theharau kaahi……
Saanse bhar aapne aapko sama le
Maasoom ban fir koi masti aazama le
Aapno ke saang milkar har khushi chura le
Jahan kaahi bhi ja, pyaar ki mehafile sajjaa de!!
Raango se aapni duniya savaar de
Bejijakh geet gun guna
Chhoti chhoti har khushi ka mazza utha le
Ajanabieo mein phir umeed ki kiran jalaa de.
Kudarat ke taufao ka
Aapno ke bemisaal pyaar ka
Doosaro ke niswaarth bhavanao ka
Mazboot banati zindagi ki uuch-nich ka bhi …
Thehar kar kaahi, la kar theharau kaahi…
Jhukar kar shukriya
Kar bande, Us Khuda ko salaam !!
Thehar ja kaahi, la de ab theharau kaahi!!!

No comments: